*** DARSE JAMIUT TIRMIZY ***

 

Chapter : Taharat , Day ; 9,

Hazrat Abdullah Bin Mughaffal(raziyallahuanhu) se rivayat hai,
Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Hammam (Bathroom) me Peshab(Urine) karne se Mana farmaya hai,Kyu ke Aksar Waswaseh Usi ki wajah se Aate hai.
(Jamiut tirmizy,Vol/1,H,No ;21).

Dars : Hammam me Peshab karne se Is liye Mana kiya gaya hai,ke usme Peshab karne se ye waswasah aajata hai,ke kahi wo peshab ka qatrah Badan ke kisi hisseh per to nahi laga ya Uchla..etc..waswaseh aajaye hai,
Ulamaa ne likha hai ke ..
Hammam me peshab karne se Zahen kamzor hota hai, !!!
Aksar waswaseh aate rahte hai..
Bahrehaal kayi noqsanaat hai,Allah hame nek Taufeeq de..Ameen.

Plz..read and share it.

You might also like