DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHAAB(DREAM), DAY : 602,Hadees No :2443,

 

Hazrat Abu Saeed (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Sehar ke Waqt me Jo Khaab Padhta hai,Wo Sacha Khaab Huva karta hai.
(Vol/2,Hadees No :2443),
Dars : Allah ne hi Tamam Din aur Waqt Banaye hain,aur unki Ek Alag Khusoosiyat bhi rakhi hai,isi liye to Har Namaz ka Alag Alag Waqt rakha gaya hai,kyu ke Har Waqt ki Ek Fazilat huva karti hai,lehaza Sehar ke waqt ki bhi fazilat apni jagah hai,aur wo Tahajjud ka bhi waqt hota hai,to jo Bandah Sehar ke waqt khaab dekhe Agar Khaab Acha ho to Shukr Baja laye aur agar khaab bura ho to isteghfar padhte rahe aur Allah se Bhalayi ki dua maange,aur Sabr kare,baaz log ye karne ke bajaye Pareshan hojate hai,Aysa nahi karna hai,Balke Shukr aur Sabr ke saath intezar kare.
Allah hame Sone se pahle Quran padh kar sone wala banaye..Ameen ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like