DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHAAB(DREAM), DAY : 605,Hadees No :2447,

 

Hazrat Abu Razeen Uqaily (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Musalman ka Khaab Nuvmbuvvat ke Cheyyalis(44) Hisso me se Ek Hissah hai,aur Jab Musalman koi Khaab dekhta hai,to wo us tarah Parindeh ke pair(leg) per koi cheez rakh di ho,Agar Us khaab ko wo bata de to Agar parindeh Harkat kare to wo cheez jaise gir jati hai,us tarah ye khaab ka asar bhi doosro ko batane se khatam hojata hai,
(Vol/2,Hadees No :2447),
Dars : Musalman ka khaab ek Ahem kaam ki taraf isharah karta hai,magar wo khaab doosro ke saamne bayan na kare kyu ke jab wo apna khaab doosro ko bata deta hai,to us khaab ka asar khatam hojata hai,
■■ Parindeh(Bird) ka koi Cheez apne pair per rakhne ki tashbeeh ya Misal khaab se isliye di gayi ke khaab bhi us tarah Nazuk hota hai,wo thodi se Na Samjhi Harkat per apna Asar khatam karleta hai,
Haan,Agar koi Aalim ya Khaab ki tabeer jaan ne wale ho to unke Saamne Khaab bayan karne ko ijazat hai.
Allah hame Hikmat Naseeb kare..Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like