DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 684,Hadees No :2564,

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram 
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Yaqeenan Allah far mata hai,ke : Bandah Jo mujh se guman rakhta hai,to mai uske Guman ko pura karta hoon,aur wo Jab mujhe Pukarta hai,to mai uske Paas hi rahta hoon.
(Vol/2,Hadees No :2564),
Dars : Bandeh ko Sab se pahle ye Kamil yaqeen hona chahiye ke Har Cheez ka Malik Allah hai,aur Har Cheez per Wo Qudrat rakhne wala hai,uske Khazaneh me koi Kami Nahi hai,Wo jo Chahta hai,karta hai,
Lehaza Jab Bandah Kuch karna Chahe aur Allah se maangna chahe to Wo Kuch Bada karne ka Sonche aur Allah ke Saamne Jo Chahe wo Maange,Na karne me sonche aur Na hi Maangne me kyu ke Kaamo ko mukammal karne wala aur Duao ko Qubool karne wala “ALLAH” hai,
●● Bandah Jab Be Bas wa Pareshan hojata hai,aur uska zahiri taur per Koi Sahara Nahi hota hai,usko us waqt Parshani aur Be Basi ka izhar karte rahna Nahi hai,Balke Apne Rabb wa Malik Allah ko jis yaqeen se pukarega to Allah uske Yaqeen ki laaj rakhega aur uski Parshani wa Be Basi ko usi waqt door karega Insha Allah shart ye zaroori hai,ke pure yaqeen se pukare..
Allah hame Kamil Yaqeen aur Acha Guman rakhne walo me banaye..Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…
www.anwaarulislam.com.

You might also like