DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 685,Hadees No :2565,

Hazrat Nawwas Bin Sam’aan (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Ek Shaks ne Neki Aur Gunah ke Baare me Sawal kiya to Rasool e Akram 
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ache Akhlaaq Naki hai,aur Jo Cheez Tere Dil me Khatke aur Wo Logo per Zahir hone ko Tu Na Pasand Kare to Wo Gunah hai.
(Vol/2,Hadees No :2565),
Dars : Is Hadees e paak me Neki aur Gunah ki Wazahat farma di ke,Logo se Ache Akhlaaq se Pesh Aana khud Neki karna hai,jis se Logo ke Dilo me Azmat aur Rabb ke Bargah me Ibadat aur Khud ke Dil me Rahat ka sabab hote hai,Bus Insaan ko Apne Akhlaaq Sudharne hai,jab ye Sudhar jaye to Khud Ba Khud Bandeh ke Har Cheez Makhlooq ko Achi lagne lagti hai,
Jab ke Baaz log Apni Izzat wa Rutbeh ko Ache Kapdo aur Achi Gadiyo ke istemal karne me talash karte hai,jabke Wo Bandeh ke Baher ki Cheezo se Nahi balke Khudi ko badalne me hoti hai,jo usko aasani se mil bhi jati hai,
■■ Har Wo Kaam jab Hum kare uske Baare me Dil Be Chain ho,ex..koi Cheez hame mil jaye jabke wo cheez Qeemti ho,Qeemat ke lehaz Rakhne ko dil kahe phir Baad me Dil me Baat khatke ke Na jaane wo kis zaroorat mand ki cheez ho,usko Wapas karna ho lekin wo Wapas Na kare to Wo “GUNAH” hai,aur agar usko Wapas karde to “NEKI” hai,is tarah kayi Cheeze hoti hai,jinka Ta’alluq Neki aur Gunah se hota hai,aur Neki Choot te hi us maqam pe Gunah aajata hai,aur Gunah Choot te hi us maqam pe NEKI aajati hai,lehaza Pahle Neki hi karle taake Gunah ko Mauqah Na mil sake..
Allah Hame Neki ki taufeeq aur Gunah se Hifazat Naseeb kare..
Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam.com.

You might also like