DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 721,Hadees No :2616,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne Quran ki ayat tilawat farmayi : Qiyamat ke Din Bandeh ki Khabre Bayan ki jayengi,phir apne farmaya : Ye Khabre kiya hain,tum jaante ho to Sahaba e kiram ne jawab diya ke Allah aur uske Rasool ziyadah behter jante hai,
To aapne farmaya : Dunya me Bandah ya Bandi jo bhi Kaam chup kar ya Zahir me kiye the wo sab Baato ki khabar Qiyamat me di jayegi,(yani koi Baat chupi huvi Na hogi.).
(Vol/2,Hadees No :2616),
Dars : Jab tak Bandah ya Bandi Dunya me hote hain,to Koi gunah chup kar karke sab ko be khabar samajhna ya Baad me kisi ko pata hi Na chalne ka bharosah karlena ye Unki Be waqoofi hai,
Aur Baaz log Gunah karte waqt abhi Jawani hi hai,Budhape me Nek Kaam karne ka iradah karna ye khud ko dhoka dena hai,bahrehaal Bandah Dunya me jitne bhi Kaam kare ya Jitne bhi Bahane Bana le,Uski Har Baat Qiyamat me Zahir hone wali hai,
●□ Ulama e Kiram ne kaha hai,ke Qiyamat ke Din Bandeh ko Bolne aur Bahane banane ki bhi zaroorat Nahi hogi,balke Sab khabre saamne ajayengi,jaisake Aaj kal Technical Devices me Data ya History aasani se Zahir hojati hai.
Allah hame Dunya ke Dhoke se Mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like