DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 722,Hadees No :2618,*

Hazrat Abu Saeed (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mai kaise itminaan me rahoo jabke Soor(jis se Qiyamat ka Elan hone wala Aala) Phoonkne wala Farishtah Soor ko Tayyar karliya hai,aur ijazat ke intezar me hai,ke Jab bhi usko phoonkne ka Hukm Diya jayega to wo Soor Phoonkega.
(Vol/2,Hadees No :2618),
Dars : Ab kisi cheez ke intezar me rahna Aqalmandi Nahi hai,Balke ab to waqt Qiyamat aur Akhirat ki tayyari ka hai,jabke Wazeh hai,ke qiyamat ke Qareeb musalmano per kayi zulm wa sitam hone wale hai,aur us waqt musalman ko apne Eiman ki Hifazat karna hi sab se Ahem kaam hai,lehaza Hame sabr Wo Tahammul se kaam lete huve Akhirat ki tayyari me lage rahna hai.
Allah hame Nek Amal ki taufeeq de..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like