DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 815,Hadees No :2738,*

Hazrat Ana’s Bin Malik (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) se “KAUSAR”ke Baare me Sawal kiya gaya to Apne ne farmaya: Kausar Jannat me Ek Naher(Rever) hai,Uska Paani Doodh se bhi Ziyadah Safaid hai,aur Shahed(Honey) se bhi ziyadah Meetha hai,usme Parindeh(Birds) bhi honge,jinki Gardane(Neck) Woont(camel) ki Gardano ki tarah badi hongi,Unka Mazah(lazzat) Bohat hi Umdah hoga.
(Vol/2,Hadees, No :2738),
Dars : Hauze Kausar wo Maqam hai,jahan Khair hi Khair hoga,Jo Bandah Dunya me Rasoolullah sallallahualihiwasallam aur Ahle Bait e kiram ki Mohabbat me Apne Dil ko lagaye rakhe aur Jism ko unke Ehteram wa Khidmat me masroof rakhega to Kal Qiyamat me Din Wo Kabhi Piyasa Nahi hoga kyu ke Panjatan e Paak usko Apne Dast e Mubarak se Hauze Kausar se usko paani pilayenge..Allahu Akbar Kabeera..
■■ Hauz e Kausar ka Paani Doodh se Ziyadah Safaid aur Shahed se bhi ziyadah meetha hoga jo Jannatiyo ke istemal keliye hoga aur waha ke Parindeh Unki Ghiza yogi,aur Waha Mezbani Rabb ki janib se hogi.
Allah hame Jannat ul Firdous me jagah Naseeb kare..Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like