SALAH FAJR,FAZILAT AUR TAREEQAH

IBADATO me Sab se Afzal Tareen IBADAT “NAMAZ” hai,Jo Apne Awqaat me Padhi jaye to Afzal wa Aala hai, 5 Namaze Apni Apni Fazaayil wa Tareeqo se Mumtaz hain,to Yaha Mukhtasar Fajr ki Namaz ke Fazayil aur Tareeqah likha jaraha hai,

Fajar ki 2 Rakaat  SUNNAT hain,2 RAKAAT FARZ  hain,

■ FAJAR KI 2 RAKAAT KI FAZEELAT :

RASOOLULLAH ﷺ NE FARMAYA : FAJAR KI 2 RAKAAT SUNNATE DUNYA AUR DUNYA KI SAARI CHEEZO SE BEHTER HAIN.

(SAHI MUSLIM,VOL/1,H,NO :725),

■ FAJAR KI 2 RAKAATO ME SURAH :

FAJAR KI PAHLI RAKAAT ME SURAH KAAFIROON (قل ياايها الكافرون)

AUR DOOSRI RAKAT ME

SURAH IKHLAS(قل هو الله احد) PADHNA AFZAL HAI.

(IMAME AHMED WA TAHAVY),

■ FAJAR KI 2 RAKAAT FARZ KI FAZILAT :

RASOOLULLAH ﷺ NE FARMAYA : JO SHAKS FAJR KI FARZ NAMAZ ADA KARTA HAI,TO WO SAARA DIN ALLAH KE ZIMMEH ME AJATA HAI.

(SAHI MUSLIM,VOL/1,H,NO :657),

NOTE : ALLAH KE ZIMMEH ME ANE KA MATLAB ALLAH US BANDEH KI SAARA DIN HAR MUSEEBAT SE HIFAZAT KARTA HAI,AUR USKE KAAM ME BARKAT ATA KARTA HAI,

■ FAJAR KI NAMAZ KI FAZILAT KE BARE ME EK DOOSRI HADEES ME AYA HAI,KE :

RASOOLULLAH ﷺ NE FARMAYA : KHUSHKHABRI HAI,UN LOGO KO JO FAJAR KE WAQT MASJIDO KI TARAF CHALTE HAI,TO KAL QIYAMAT KE DIN ALLAH USKI BARKAT SE NOOR WO ROUSHNI ATA KARTA HAI.

(SUNANE ABU DAWOOD, H,NO :561),

○ AHKAAM : FAJAR KI 2 RAKAAT SUNNATE FAJAR KI NAMAZ SE PAHLE ADA KARNE HAIN,AGAR AKHRI RAKAATYANI QADEH  ME AAKAR JAMAT ME MIL JAYE TO SUNNAT NA PADHE BALKE JAMAAT ME SHAREEK HOJAYE WARNA JAMAAT CHOOT JAYEGY,AGAR JAMAAT CHOOTNE KA DAR NA HO TO SUNNAT ADA KARE,

○ MASLAKE HANAFI ME FAJAR KI FARZ NAMAZ KE BAAD 2 SUNNAT NAHI PADHNI HAI,

 

■ FAJAR KI FARZ NAMAZ PADHNE KA TAREEQAH :

○ NIYYAT : AAJ MAI FAJAR KI 2 RAKAAT FARZ NAMAZ PADHTA HOON,TAABE IMAM KE(AGAR JAMAAT SE PADHE TO YE KAHE) MOOH(FACE) MERA KABA SHAREEF KE WAASTEH ALLAH KE.

● ALLAHU AKBAR KAHE,SANA PADHE(SUBHANAKALLAHUMMA WABIHAMDIKA WA TABARAKASMUKA WA TA’ALA JADDUKA WALA ILAHA GHAIRUKA),

•AUZUBILLAHI MINASH SHAITANIR •RAJEEM, BISMILLAHI RAHMANIR RAHEEM,

•SURAH FATEHA PADHE,

•ZAMMAH SURAH PADHE YANI JO SURAH YAAD HO WO PADHE,

YAAD RAHE FAJAR KI NAMAZ ME BADE SUREH PADHNA SUNNAT HAI,

RUKU WA SAJDAH KARE,PHIR ISI TARAH DOOSRI RAKAAT PADHE,LEKIN ISME SANA,AUR AWUZU BILLAH…NA PADHE SIRF BISMILLAH…KE SAATH SUREH FATEHA AUR ZAMMAH SURAH PADHE,

● QADEH ME ATTAHIYYATU,..DUROOD E SHAREEF AUR DUA E MASOORAH PADH KAR DONO JANIB SALAM ASSALAMUALIKUM WA RAHMATULLAH) KAHTE HUVE PHERE.

 

■ Masaayil : SURAJ NIKALNE SE PAHLE YANI FAJAR KA WAQT KHATAM HONE PAHLE NAMAZ ADA KARLE,MASLAKE HANAFI ME AAKHIR WAQT(اسفار) ME AUR MSLAKE SHAFAYI ME IBTEDAYI WAQT(غلس) ME FAJAR KI NAMAZ PADHNA AFZAL HAI,

○ AGAR KI FAJAR KI NAMAZ CHOOT JAYE TO SURAJ KE TULU(AFTER SUN RISES) HONE BAA WO QAZA PADH RAHA HO TO 2 RAKAAT SANNAT AUR 2 RAKAAT FARZ KI BHI QAZA KARE AUR AGAR WO BAAD ME(TULU E AFTAABKE WAQT KE BAAD EX..ASAR SE PAHLE YA RAAT MW ETC..)  QAZA KAR RAHA HO TO SIRF 2 RAKAAT FARZ NAMAZ HI QAZA KARE,

 

WRITTEN BY :-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(Founder of TANZEEM ANWAARULISLAM & ARABIC SCHOOL ANWAARULISLAM ‾TAYYAB Nagar, Mbnr,T.S)

You might also like