*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER :SALAH, DAY : 103,

 

Hazrat Ayisha(raziyallahuanha) se Rasool e Akram(sallalllahualihiwasallam) ki Nafil Namaz ke Bare me Sawal kiya gaya,to Aap farmati hai,ke :
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Raat ke Taveel Hisseh me Nafil Namaz Khade hokar Ada farmate,aur Raat ke ek taveel Hisseh me Bait(by sitting) kar bhi Namaz ada farmate,
(Vol/1,H,No:376),
Dars:Dosto,is Hadees e paak me Nafil Namaz ke bare me is ijazat ki taraf isharah hai,ke Nafil Namaz Bait(By sitting) ker bhi ada karsakte hai,isme koi Haraj Nahi hai,
Aaj kal log Nafil Namaz ko ahmiyyat Nahi dete hai,ye Bilkul Ghalat aur Afsos wali baat hai,aysa Nahi karna chahiye kyu ke Hadees me aya hai,ke..Bandah Nafil Namaz ke zariyeh hi Allah ke Qareeb hojata hai…
Plz..share it to All,For islamic Service.

You might also like