DARSE JAMIUT TIRMIZI،CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 545,Hadees No :2345,

 

Hazrat Abu Zarr Ghifari (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,Mai Sooraj(Sun) Doobte waqt Masjid me dakhil huva,to waha
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) tashreef farma the,to aap ne farmaya : Aye Abu Zarr kiya apko pata Hai,ke ye Sooraj kaha Jata hai ? To unhone Kaha Allah aur Uske Rasool(sallallahualihiwasallam) ziyadah jante hai, apne farmaya : Wo Sajdah keliye Ijazat mangta hai,to usko Sajdah ki ijazat dedi jati hai,phir wo sajdah karke laut jata hai,lekin Qiyamat ke Qareeb wo Mashriq se Nahi Balke Maghrib yani Jaha Dooba tha wahi se niklega.
(Vol/2,Hadees No : 2345),
Dars : Dunya ki Har Cheez aur Har Zarrah Allah ki ibadat me mashghool hai,lekin saaro me Ashraf “INSAAN” hai,to phir insaan ko to Sabse ziyadah Allah ki Bandagi me laga rahna hai,taake wo Ibadat me bhi Ashraf rahe aur Zaat me bhi …
■■ Sooraj ka Har din Mashriq se Nikalna aur Maghrib me doobna ye Ita’at wa Ibadat dono ka suboot hai,lekin jab Dunya me fasad ziyadah hojayega aur Qiyamat qareeb hogi to uski Nashaniyo me ek nashani ye bhi hai,ke Us waqt Sooraj Maghrib me Doob kar Maghrib se hi niklega to samajh le ke qiyamat qayim hone wali hai,taake Bandeh Akhirat ki tayyari karle..
Allah hame hamesha Akhirat ki tayyari me lage rahne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like