DARSE JAMIUT TIRMIZI،CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 585,Hadees No :2407,

 

Hazrat ibne Umer (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Yaqeenan Tumhara Rabb Kana(Jiski Ek Aankh Sahi Na ho) Nahi hai,Lekin Dajjal Kana hoga,aur ye Seedhi Aankh me Hogi,Jo Angoor ki Ghutli ki tarah Ubhri huvi hogi.
(Vol/2,Hadees No :2407),
Dars : Rabb wo Hota hai,Jo Saare Aalam se Be Niyaz wa Be Ayb hota hai,jiska Muqablah koi Nahi karsakta hai,yahi Hamara Rabb “ALLAH” hai,uska Koi Shareek Nahi,wo kisi Ka Mohtaj Nahi balke Saari Makhlooq uski Mohtaj hai,uski Ijazat ke Baghir ek Zarrah bhi Harkat Nahi karta hai,
Lekin Jab Qiyamat ke qareeb Dajjal niklega to wo Apne aapko Nawuzu Billah Mamooli se Ajeeb Harkate logo ko Bata kar Khuda kahega..!!
Jo apne Eiman me Kamil hoga to us dajjal ka darana wa dhamkana uske Saamne Kuch Kaam Nahi ayega,aur uska kuch Nahi bigadega,Balke wo uske Fitneh se mahfooz rahega,
Aur Jo Log Dunya me padhe honge,Deen se jinki Doori hogi,Wo Dajjal ke Ghulam ban jayenge aur Jahannam ke mustahaq hojayenge..!!
Allah hamare Eiman ki Hamesha Hifazat farma..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like