DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 771,Hadees No :2681,*

Hazrat Anas Bin Malik
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Bandah Taqat rakhne ke Ba Wajood apne Ghusseh per Qaabu paale to Allah usko Qiyamat ke Din Saari Makhlooq ke saamne ye Ikhtiyar dega ke Wo Jis Hoor ko Chahe Lele.
(Vol/2,Hadees No :2681),
Dars : Gussha Shaitan ki taraf se Hota hai,aur ye Shaitan ke Jaalo me se ek Ahem jaal hai,aur Sabr Deen e islam ki Taleem hai,jo Bandeh ko Hamesha Buland wa Bala rakhti hai,us se hi Bandah Khud Etemad banta hai,jabke Ghusseh karne ki wajah se wo Khud ki aur Doosro ki Nazro me gir jata hai,jab wo Ghusseh ko Qaabu me rakhega to Hoor e Ain use Jannat me Naseeb hongi,
■■ Haan,Jab Deen e islam aur Khud ko aur Apne Rishtehdaaro jaise Maa,Baap,Bhai,Bhai etc..aur azeezo per Zulm wa Sitam ya Be wajah Saza ya Be Izzati ki ja rahi ho to Hasb e zaroorat Unke Difa(Difence) me doosro per Ghussah karne ki bhi ijazat aur zaroorat hai,warna Zalim ka zulm aur Shareero ka Shar mazeed badh jayega,
●● Ustad ka apne Shagirdo(students) per Hasb e wajah Aur Na Munasib Kaarkirdagi per Uske muwafaq samjhaye warna unko ghussah karne ki bhi ijazat hai,warna Wo Nateejah Bura hoga
Allah hame Be wajah Ghusseh se mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…
www.anwaarulislam,com.

You might also like