DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 782,Hadees No :2692,*

Hazrat Abu Moosa
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Wo Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) se sawal kiya gaya ke : Sab se Afzal Musalman koun hai?
To aapne farmaya : Jis ki Zuban aur Haath se Doosre Log Salamat rahe to wahi Sab se Afzal Musalman hain.
(Vol/2,Hadees No :2692),
Dars : Zuban aur Haath Dono hi insaan ke Ahem Aaza hai,aur unke Sahi istemal ke faideh bhi Beshumar hain,lekin Ghalat istemal kare to Noqsan bhi bada hoga,
■■ Zuban aur Haath me Sab se pahle Hadees me Zuban ka zikr aya phir Baad me Haath ka ? 
Kyu ke Zuban ka Adar Dil per hota hai,aur Haath ka Asar Badan per isliye Zuban ko pahle zikr kare hai,
Haath ka power Saamne tak ys ek Mahdood Had tak ki hota hai,lekin Zuban ki taqat Bohat Door tak pahonchti hai,yaha tak ke Ek Mulk se Doosre Mulk tak bhi uki taqat kaam karti hai,
Isliye Zuban ka zikr pahle aya hai,aur Bohat si wajah hai…
Bus unko sahi Maqam per istemal hi Kamal hai.
Allah hame Zuban aur Haath ke Sharr se Mahfooz rakhe..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like