DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 682,Hadees No :2560,

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Ek Shaks ne Sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Qiyamat Kab ayegi ? To aap Sallallahualihiwasallam ne Namaz ada ki phir us shaks se Sawal kiya ke Tum Qiyamat keliye kiya tayyari kiye ho ? To unhone jawab diya ke : Maine Na Bohat Namaze padhi hain,aur Na hi Rozeh Rakhe hain,Bus Allah aur Rasoolullah(sallallahualihiwasallam) se Mohabbat karta hoon,
To aap ne farmaya Jo Shaks Jis se Mohabbat karta hai,wo usi ke Saath Rahta hai,lehaza Tum bhi jis se Mohabbat karte ho unhi ke saath rahoge,
Raavi ne kaha,Maine ne Musalmano ko ye Baat sunkar utna ziyadah khush hote huve kabhi nahi dekha.
(Vol/2,Hadees No :2560),
Dars : Ye kahne Wale Sahabi e Rasool hain,aur wo Bohat se Noorani wa Lasani Mahol me the,to yaqeenan Wo Namaze aur Rozo ka ehtemam kiya karte lekin is baat se iski taraf isharah farma diya ke,Aamal ki Qubooliyat Allah aur uske Rasool ki Mohabbat ke Baghair Hasil hi Nahi ho sakti hai,
Aur Jo Sachi Mohabbat karta hai,to wo apne Mahboob ki har ada ko Apna leta hai,jis se uski Mohabbat ka izhar bhi hota hai,Zubani mohabbat karne wale bohat mil jayenge Bus Amali Mohabbat karne wale Bohat kam milenge,hame Zubani Nahi balke Amali Mohabbat karna hai,
●● Allah aur uske Rasool(sallallahualihiwasallam) se Mohabbat me hi Najat aur Kamiyabi hai.
Allah hame Sachi Mohabbat Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like