DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 841,Hadees No :2775,*

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke din Jahannam se Chand(Dardnaak) Parindeh niklenge jinke Kaan,Aankh aur Zuban bhi hongi jis se Wo Sunenge,Dekhenge aur Baat bhi karenge,wo Kahenge ke Hum 3 Logo per Musallat kite gaye hain,
1) Sarkash Mutakabbir shaks,
2) Allah ke Saath Doosro ko Ibadat me Shamil karlene wala,
3) Haatho se Tasveere Utarne wala.
(Vol/2,Hadees No:2775),
Dars : Jahannam me Har Gunahgaar ko uske Gunah ke lehaz se Saza mutayyan ko gayi hai,aur unke Asabab wa tareeqeh bhi Mukhtalif hain,jaisake ye Jahannami Dardnaak Parindeh jo uper bataye gaye in 3 Logo ko Apni Choncho se Noch Noch kar khatam karte rahenge phir unko zindah kiya jayega,phir Azab diya jata rahega…yahi Chalta rahega..
■ Kisi Ko Allah jismani taqat deta hai,to kisi ko Maal ii taqat in 2 taqato ko shukr ke saath Sahi Jagah istemal kiye to ye Jannat ka Mustahaq hoga warna Jahannami..
■ Ibadat sirf Allah ki hi karna hai,aur us ibadat ko Haqeeqi Shirk yani Makhlooq me se kisi Shareek Nahi karna hai,aur Aur Ibadat ko Shairk Khafi yani Riyakari wa Dikhave se bhi mahfooz rakhna hai,to Ibadat me Lazzat aur Akhirat me Jannat dono Naseeb hoti hai,
■ Jo Shaks Makhlooq ki Tasveere Apne Haath se naqsh karta hai,to ayse Shaks ko jahannam me saza hogi,
Aur Jahatak Mobile aur Electric devices se images liye jate hain,isme Ulama e kiram ka ikhtelaf hai,Baaz ne usko bhi Na jayiz kaha hai,aur Baaz ne usko Tasveer ki Hukm se kharij karke uski Na jayiz Nahi kaha hai.
Note : Zaroorat per jaise Pass port,National ID Card,etc ke waqt tasveer ki ijazat di hai.
Allah hame Jahannam ke Har Bade aur chote Azab se mahfooz rakhe..Ameen
Plz..Share it to All for more visit our islamic website,
www.anwaarulislam,com.

You might also like