DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 686,Hadees No :2567,

Hazrat Muaz Bin Jabal (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram 
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Yaqeenan Allah far mata hai,ke : Jo Bandeh Meri Raza ki Khatir Apas me Piyar wa Mohabbat se rahte hain,to Akhirat me Unkeliye “NOOR KE MINAR” honge,jin per Ambiya e Kiram wa Shuhada bhi Rashk karenge.
(Vol/2,Hadees No :2567),
Dars : Beshak insaan keliye ek doosre ke bagahir rahna Mushkil hota hai,kyu ke uski Fitrat me hi Tamaddun,Piyar aur Shafaqqat ke jazbaat rakhe gaye hai,to jab kisi se Rab rakhe to kisi Dunya ki Gharz se Na rakhe,Balke Allah ki Raza,Deen ka ilm hasil karne aur Achi Baate aur Ache Kaam seekhne keliye Unse Rabt aur Ta’alluq rakhe to is se Dunya me Deeni faidah bhi milega aur Akhirat me Noor ke Minar bhi milenge…!!
Jab Allah keliye kisi Ta’alluq rakhe to Allah Akhirat me NOOR KE MINAR denge to Jab Allah se hi Zikr wa Riyazat wa Muraqabah se Ta’alluq qayim karle to dekhe ke Allah kiya kiya Nahi dega..Be shak Har Cheez ata karega..
Allahu Akbar Kabeera..
●● Afsos ki baat hai,Aaj ke Mahol me Mohabbat ke meaning hi badal diye hai,Ladki aur ladke ke darmiyani Ta’alluq ka Naam Mohabbat Nahi hai,Balke uska Naam to “HARAM KARI” aur “FAHHASHI AUR BE HAYAYI” hai,Jabke Do Bandeh Allah keliye apas me Dosti kare ,Jaise log Ulama e kiram se dosti karte hai,taake unse Deen seekhe to iska Naam “MOHABBAT” hai,isme sirf Akhirat me kamiyabi ki Niyyat hoti hai,jiski Shareeat ne ijazat di hai.
Allah hame Doosro se Ta’alluq Allah keliye qayim karne wala banaye..Ameen Ya Rabbi.m
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like