DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 718,Hadees No :2613,*

Hazrat Ayisha Siddiqah (raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din jis Bandeh ke Hisab me Sakhti ki jayegi to wo Halal hojayega.
(Vol/2,Hadees No :2613),
Dars : Bandeh ka Amal apni jagah hai,lekin uski Qubooliyat Allah ke hukm se hi hoti hai,lehaza Apne Aamal per Bandeh ko Rab se Adal(insaaf) Nahi maangna hai,Balke Apne Rabb ka Fazal maangna hai,jab Rabb ka fazal Shamil hojaye to Bandeh ki Har Manzil aasan hojayegi,
●● Bandeh ka Husne Amal wo Ibadat hai,koi Tijarat Nahi hai,jabke Dastoor bhi yahi hai,ke Ibadat me Sabr aur Intezar ke saath Rahmat wa Shafaqqat ka sahara liya jata hai,jabke Tijarat inse khali hoti hai,to Qiyamat me aur Har jagah Allah ke Fazl ko hi maangna hai,to Har kaam me Aasani wa Kamiyabi Naseeb hogi.
Allah hame Hisab me Aasani Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like