DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 735,Hadees No :2637,*

Hazrat Abu Saeed Khudri (raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Bandah kisi Momin Bhooke Bandeh ko Khana khilayega to Allah usko Qiyamat ke Din Jannat ka khana khilayega aur Jo Bandah kisi Momin piyase Bandeh ko Paani pilayega to Allah usko Raheeq e Makhtoom(Jannat ki Umdah Sharab jisme Koi Nasha Nahu hoga) usko pilayega,aur Jo kisi momin Majboor Bandeh ko Kapde pahnayega to Allah usko Jannate ke umdah libas pahnayega.
(Vol/2,Hadees No :2637),
Dars : Deen e islam Hamesha hi Apne se ziyadah Doosro ki madad karne ki taleem deta hai,aur usme Neki ke Saath Barkat wa Sehat bhi muyassar hoti hai,jo Deen e islam ke Bunyadi Ahkamaat me se ek hai,ke Jab hamare paas Apni Zaroorat se ziyadah ho to usme se doosro ki madad karne me hi Haqeeqi Lazzat naseeb hoti hai,
■■ Khana,Paani aur Libas ye insaani Ahem zarooriyat me se hai,jo Bandeh ko Allah se hi naseeb hoti hai,lehaza bandeh ko in per kabhi Takabbur Nahi karna chahiye warna ye Nemate Chin jane me koi ziyadah waqt nahi lagta hai,to jab ye hamare paas ho to us se Ghareebo aur Be Baso ki madad karne se Allah qiyamat me uska Aala Ajr Ata karega..insha Allah.
Allah hame Ghareebo ko khilane,Pilane aur kapde pahnane wala banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like