DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 737,Hadees No :2639,*

Hazrat Atiyyah Sa’adi (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Bandah Us waqt Tak Muttaqeen me Shamil Nahi hota hai,Jab tak ke Wo La Yani(Be faidah) Cheezo ko is darr se chod deke ke kahi usme koi La yani Kaam ya Baat Na hojaye.
(Vol/2,Hadees No :2639),
Dars : Deen e islam ma ek Musalman ki zindagi ke Har Lamhe ko Badi Ahmiyyat di gayi hai,kyu ke Bandeh ke Ek Lamha bhi Allah aur uske Rasool ki Yaad me guzrega to wo Lamha qiyamat me Bohat hi ziyadah faidah mand sabit hoga jiska ke Bandeh ko Marne ke baad hi pata chalega to Hame bhi chahiye ke Be kar cheezo me padne se behter hai,ke Deeni wa Islami kaam me lag jaye,
■■ Bohat se Logo ke ye sawal arahe hai,ke india me Next Election aane wale hai,kiya karna ? Aur Leader ka saath dena ya Nahi ? Aur Usme baante jane wale paise lena ya Nahi ?
To mere piyare islami Bhayiyo ye sunle ke Election wo hai,ke jisme Har Mulk ka Bashindah ek Eimandar wa Amanat daat leader ka intekhab karelga aur wo uski marzi hai,isme Leader ke peeche phirna uska Saath dena koi zaroori nahi hai,agar leader sahi Sahi hoga to use ghar ghar phirne ki zaroorat hi Nahi hai,balke log uske ghar ko ayenge,aur uske paise lena Ye Koi Mazdoori hai,aur Na hi koi In’aam lehaza usko lene ki ijazat bhi Nahi hai,isiliye to Hukumat un paiso ko Lene se Mana karti hai..!! Bus ye Be faidah kaamo se door rahe aur khud ki zindagi aur Akhirat ko sanwarne me lage rahne me hi sabki bhalayi hai.
Allah hame Be kaar Baato aur kaamo se bache rahne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like