DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 766,Hadees No :2676,*

Hazrat Abdullah Ibne Mas’ood (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Suno Mai tumhe us shaks ke Bare me batata hoon ke jis per Jahannam ki Aag Haram hojati hai,aur wo Shaks hai,ke Jo Rishtehdaaro ke Saath Aajizi se Milne wala ho aur Doosro ke Saath Narmi aur Aasani ke Saath sulook karne wala ho.
(Vol/2,Hadees No :2676),
Dars : Deen e islam hi ek aysa Mazhab hai,jisme Bataya gaya hai,ke jo shaks Rishtehdaro ke Saath Aajizi wa Mohabbat se rahta hai,aur unke saath Silah rahmi karta hai,to Allah us per Har Lamha Rahmath Nazil karta hai,aur usko Sabka Mahboob bhi Bana deta hai,lehaza Rishtedaari jaisi bhi ho waha Kuch Na kuch kami aur Na ittefaqiya aajati hain,to unme sab se pahle Maafi maangne wala aur Milne wala hi Allah ka pasandeedah bandah hoga aur usi maqam Allah ke Paas ziyadah hoga,aur us per Jahannam ki Aag bhi Haram yani usko Jannat bhi milegi,
■■ Narmi aur Aasani jo bhi iktiyar karega sab se pahle usko Dunya me hi Qalbi Aur Badani Rahat Naseeb hogi aur wo Har moamleh me Hikamat se kaam lega kyu ke Bandah jitna Narm wa Aasani paida karne wala hoga to uske Zahen per kisi qisam ka Dabav(stress) nahi hoga jis ki wajah se wo har kaam ko Hikmat wa danayi se karega aur wo har kaam me kamiyabi hasil karega,is tarah wo Dunya aur Akhirat dono me kamiyab hojayega.
Allah hame Aajizi,Narmi aur Aasani apnane wala banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like