DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 768,Hadees No :2678,*

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ko dekha ke Jab Aap kisi se Mulaqat karte to Us Shaks se Musafaha karte aur us se Apna Haath us waqt tak Nahi hatate jab tak wo khud hi apna Haath hata le aur us se apna Charah bhi us waqt tak Nahi pher lete jab tak ke wo khud apna Chahrah Na pher le,aur Apne Saamne Baithe huve shaks ki taraf Ghutne aage karke Nahi Baith te.
(Vol/2,Hadees No :2678),
Dars : Mulaqat ke waqt Musafaha karna Sunnat hai,aur kisi Maqam se safar karke khud bhi ya koi Aaye to Muanaqah yani Gale milna bhi Sunnat hai,
Aur Sahi Tareeqah Musafah karne ka yahi hai,ke : Do Haatho (by 2 Hands) se musafah karna hai,aur Agar Ho sake to Haatho ke kuch Harkat(Shake)bhi karna hai,kyu ke us se Bandeh ke Gunah maaf hojate hai,aur is se Mohabbat wa khuloos ka izhar bhi hojata hai,
Haan,agar Saamne wala kuch mukhtalif Mizaj ho to Harkat ke Baghir Musafaha karlena bhi kaafi hai,
■■ Mulaqati Shaks se Chaharah Na pherne se uski taraf tawajjuh ki daleel hoti hai,aur wo Khul kar Baat karta hai,aur Musbat(positive) sonch lekar rukhsat hota hai,ye sab keliye ex..Buiseness Man,Teachers,etc..faidah mand rahega,
Aur Saamne Baithe shaks ki taraf Pair ya Ghutne khade karke Baitne se uski Be Adabi bhi hogi aur Apni Baithak se doosre ko takleef bhi hosakti hai,isliye munasib baithne ki taleem di gayi hai.
Allah hame Sunnato per Amal ki taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like