*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** Chapter :AZAAN ,Day :57,

 

Hazrat Abdullah Ibne Zaid(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha jab Sahaba(raziyallahuanhum) ne Azaan ke bare me khaab Dekha to Sab Rasool e Akram(sallallahualihuwasallam) ke paas Hazir huve aur khaab sunane lage to Sab ka khaab muvafaq tha,to Aap Ne farmaya :Ye Sacha khaab hai,aye Bilal Khade hojav Tumhari Awaaz Buland aur Wunchi hai,Un Alfaaz ko Ada karo jo Khaab me dekhe the,
Jaise hi Aap azaan diye to Hazrat Umer(raziyallahuanhu) apni Chadar Ghaseet te huve ake kahne lage ..
Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Haq wale Rab ki qasam maine bhi khaab me yahi Alfaaz dekhe hai,to Aapne farmaya :Tamam Tareefe Allah hi keliye hai,wahi Har kaam ko Sabit karne wala hai.
(Vol/1,H,No :189),
Dars : Ab jo Azaan me Afaaz kahe jaate hai,Wahi Azaan Sahaba ne apne khaab me dekhe the,
Qurban jaye in Muqaddas Hastiyo ki fikro per Dekhe unki Fikr me bhi Ittehad tha,aur unki Nazr me bhi ittehad,
Are Ye to aur bhi anokhi baat ke Khaab bhi sabko Ek jaisa hi padha..
Allahu Akber Kabeera…
Lekin Aaj hamari saffo me to Ekhtelaaf aachuka hai,lekin usko door karna bhi hamara hi kaam hai..
Allah hame taufeeq de..ameen.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like