DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ , DAY : 195,

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Ke Hum Nabi e Akram
(Sallallahuaalihiwasallam) ke saath Hajj ke Safar me the,to ek Shaks Apni Sawari per se Gir gaye aur uski wajah se unka Inteqal hogaya,to Aap ne Farmaya : Unhe Paani(water) aur Beri ke Patto se Ghusl do,Aur Kafan ke Kapdo me hi Dafan kardo,kyu ke wo Jab Qiyamat me Uthega to Allah ki Tasbeeh,aur “Allahumma Labbaik” kahte huve uhtega.
(Vol/1,H,No :966),
Dars : To ye Ahram ki Barkat hai,aur Ahram ki Halat me Inteqal hone wale ko Usi Ahram me Dafan karne ko kaha gaya hai,
■■ agar wo Ahram Kafan keliye Na Kaafi ho raha hai,ya Phat gaya ho etc…to
Ulama ne Kaha hai,ke Uske Saath Ek Doosre Kafan ka bhi Ehtemam karne ki Ijazat hai.

You might also like