DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ , DAY :196 ,

Hazrat Usman Bin Affan(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne Halate Ahram me Ankh ke Dard hone per ilaj ke bare me sawal karne per Farmaya,Ke :Aankh Ko “SABIR” Naami Jadi Booti se ilaj karlo.
(Vol/1,967) ,
Dars : Is Hadees e Paak me Halat e Ahram me Beemari per ilaj ki Taraf bhi Isharah milta hai,
■■ Halate Ahram me Bahir Khushboo wali Dawa (Tab,Syp,Ointments etc medincines) ka istemal karsakte hai.
Bus Shart ye hai,ke wo Dawa Khushboo wali Na ho.
●● “SABIR” ye ek Qisam ki Jadi Booti hoti hai,jo aankh aur doosri Beemariyo keliye bhi istemal ki jati hai,to is zamaneh ke lehaz se jo dawa ho usko bhi Aankh ke ilaj keliye istemal karsakte hai

You might also like