DARSE JAMIUT TIRMIZI** CHAPTER : ILM DAYS: 908/ HADEES NO :2862,

Hazrat Sayyiduna Abu Haroon Abdy Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha:Hum Hazrat Abu Saeed Raziallahuanhu ke paas the to ap ne kaha Rasoolullah sallallahualihiwasallam ki Wasiyyat Mubarak ho,jisme Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Yaqeenan Log Tumhari Itteba (follow) karte hai,to Jab wo tumhare Paas Zameen ke kinaro se Deen ke Baare me ILM hasil karne aaye to unko Bhalayi ki Wasiyyat karo.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2862),

Dars : DEEN E ISLAM Ek khar khaahi wala Mazhab hai,iske Her Rukn,Farz,wajib,aur Sunnat wa Nawafil me Saari Makhlooq keliye Khair khaahi yani Bhalayi Rakhi gayi hai,Jab ILM to Allah ka Ek Noor hai,ye jisko Ata kiya jata hai,to uper Allah ka khair wa Bhalayi Nazil hoti hai,isliye ILM Hasil Dene walo keliye bhi yahi Hukm hai,ke jab wo Talabah ko ilm de to usme Kamil Bhalayi ka lehaz rakhe to Padhne wale aur Padhane Wal Dono Allah ki Rahmat honge,

■■ Jo Apne ILM se doosro ko Bhalayi Na de balke Bus unse Dunyavi Gharz hasil karta rahe to ayse log kuch Din Dunyavi faideh me honge aur Baaqi Zindagi Baghir Bhalayi ke Guzar kar is dunya S chale jayenge to ayse log Qaum wa Millat ke liye Faidah Bakhsh Na honge to Qaum ko bhi Chahiye ke unka Sahi jayizah le aur unse Door rahe.

Allah hame Doosre ke saath khair khaahi karne wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

 

You might also like