DARSE JAMIUT TIRMIZI** CHAPTER : ILM /DAYS: 911/ HADEES NO :2865

Hazrat Sayyiduna Abud Dardaa Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: Hum Rasoolullah ﷺ ke saath the, Aapne Asman ki Taraf Dekha phir Farmaya: Ye wo Waqt hai,jisme Dunya se ILM Uthaya jayega Phir wo kisi Ek ILM wale Shaks ko bhi Nahi payenge,

To Hazrat Ziyad bin Labeed Ansari Raziallahuanhu ne kaha : ILM Hum se Kaise uthaya jayega Jabke Hum Quran padhte hain,Allah ke Qasam Hum Zaroor Quran Padhenge aur Apne Bacho aur Aurato ko Quran Padhayenge!! To apne Farmaya: Aye Ziyad ..Tumhari Maa Tum per Roye (Ahle Arab kisi Daantne ya Zajar karne keliye ye lafz istemal karte hain) Mai tumhe Madineh ke Fuqaha me Shumar karta hoon,suno ke : Yahoodiyo ke Paas Tauraat aur Nasraniyo ke Paas Injeel hai,Phir wo unhe Kuch Be Niyaz Nahi karti hai.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2865),

Dars : ILM ke Dunya se uth Jane ke Bohat se Aqwaal Bayan kiye gaye hai,Jin Me se ye : Logo se Khushu wa Khuzu uth jayega,log bus Bataur Ibadat ke Af’aal yani Qiyam,Ruku,sajdah..ke Ada karne ke taur per ada karenge Unme Khushu wa Khuzu,ikhlaas wa Lillahiyyat khatam hojayegi,to apne Sharee Masaayil Jahilo se Hal larenge jiski wajah se Wo Gumrah hojayenge,

☆☆ Hame apne Daur wa Zameeneh ko Ghaneemat Jaan Na chahiye pata nahi aane wala dour kaisa ho,lehaza is dour me to ILM khud bhi Hasil karne ke saath apne Awlaad ko bhi is se Aarastah karana hai.

Allah hame ILM E deen ki khidmat karne wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

You might also like