DARSE JAMIUT TIRMIZI** CHAPTER : ILM DAYS: 912/ HADEES NO :2866,

Hazrat Sayyiduna Ubai Bin Ka’b Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: JO koi isliye ILM Hasil kare taake wo Ulama se Muqablah kare ya Be waqoofo se Jhagda kare ya Logo ko Apni Taraf Maayil kare to ayse Shaks ko Allah Jahannam me Dakhil karta hai.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No :2866),

Dars : ILM Deen Jo hai,wo Allah ka Noor hota hai,ye jis kisi ko Ata kiya jata hau,to samjho Allah usko Apne Noor ke Saaye me Rakha hai,us per Rahmate Nazil hoti hai,Farishte per Bhijate hain,Wo jidhar Chalta hai,waha Jannat ki taraf Raastah Nikalta hai,Aane wali 5 Pushto tak us ILM ka Asar rahta hai,etc..

Iske alawah bohat Fazeelate hain,jiske Saamneh ye Dunya ki Shohrat aur Muqableh aur jhagde Zarreh ke Barabar bhi Nahi balke be faidah cheeze hain.

Allah Hame ilme deen ki khidmat marte dum tak Karne ki taufeeq ata kare..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

 

 

You might also like