DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 928/ HADEES NO :2886

Hazrat Sayyiduna Abu Moosa Ash’ari Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Sifarish Karo Aur Ajr Pavo,Aur Allah Apne Nabi ki Zuban per Jo Chahe Moamlaat ko Mukammal karta hai.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2886),

Dars : Sifarish Har Nek Kaam,Kisi ki Madad aur Zarooratmand ki Hajat ravayi,aur Majboor ki majboori ko door karne etc..me karna Islami Aadab aur Allah ki Rahmat ke khazano me Se Ek Khazanah hai,Sifarish Zuban,Haath aur Kaam se hoti hai,to ham se jitna ho sake karne me hamare liye Akhirat ka Tosha hai,aur Jahannam se Najat ka Zariyah hai,

■□ Kal Qiyamat Din bhi Allah Tamam Ambiya e Kiram ko SHAFA’AT (sifarish) ka Apni Apni ummat ke Haq me mauqah deta hai,to Us waqt Taajdaar e Ambiya sallallahualihiwasallam Apni ummat ki sifarsh bhi karenge aur unhe jannat me bhi lejayenge to SHAFA’AT e kubra hai,Aur Jo Nek WA Saliheen Sifarish karte hain,wo SHAFA’AT e Sughrah kahlati hai,Jo ye jisko Allah chahta hai,ata karta hai.

●○ Bure Kaamo me sifarsh karna Giya ke Apne Aapko jahannam ke ghade ke qareeb karne ke Barabar hai,aur Apni Akhirat ko Bigad lena hai.

Allah hame Nek Kaamo aur Doosro ki madad me Sifarish karne wala Banaye..Ameen YA Rabbi.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA),

CONTACT NO: 96403 44146 + 79890 94406.

 

You might also like