DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : JANAZAH, DAY :215,

Hazrat Ubadah Bin Samit(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) jab Janazeh ke Saath Qabratan ko jate to Mayyit ko Dafan karne tak Nahi Baith(sitting) te,To ek Martabah Ek Mayyit ki Tadfeen horahi thi to ek Eisayi Padri(pop) aya,aur Kahne laga,Hum bhi is tarah Mayyit ko Dafan karne tak Khade hi rahte hain,Nahi Bait te hain,
To Usi waqt Aap Baith Gaye,phir Farmaya: Aye Sahaba tum In Eisayiyo(Christians) ke Jaisa Amal Na Karo.
(Vol/1,H,No :1036),
Dars : Momino ,Is se Malum huva ke Islam ek sab se Mumtaz Mazhab hai,aur iske Ahkamaat Insaniyat ke liye Bohat Faidah Mand hain,to hame Chahiye ke Har Haal me islam aur uske Ahkamaat ko thaam kar rakhna hai,kyu ke usme hi hamari KAMIYABI hai,Warna NA KAMIYABI WA NA MURADI hamara Muqaddar Ban jayegi…
■■ Zaroorat ke waqt Mayyit ki tadfeen se pahle Baith ne ki ijazat hai,
●● Qabrastan me jitna jaldi hosake Mayyit ko dafan karna hai,usme Takheer sahi nahi hai.

You might also like