DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 311,

Hazrat Ali Bin Abu Talib(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram (Sallallahualihiwasallam) ne hame Sone ki Anghoti (Glod Ring),Resham ka Libas pahen ne, Ruku aur Sajdah ki Halat me Quran ki Qirat karne se aur Za’afrani Rang ka Libas pahen se Mana farmaya hai.

(Vol/2,H,No :1841),
Dars : Sone ki Anghoti aur Resham ke libas pahen ne ki tafseel pahle guzar chuki hai…
Ruku aur Sajdah me Qirat 😕
Namaz me Quran ki Qirat ka Maqam wa Mahel*QIYAM* hai,yani Ruku se pahle, to Jab Ruku keliye Allahu Akbar kah de to Ab Qirat ka maqam baaqi Na raha,lehaza jo Bhi Ruku aur Sajdah me Quran ki tilawat kare to Wajibaate Namaz ki Takheer wa Tabdeeli ke sabab Sajdah Sahoo wajib hojata hai,
Iske Alawah bhi aqwaal Ulama e kiram ne kahe hai….
■■ Aksar Baaz Huffaze Kiram Namaz e Taraveeh ke dauran Qurani Aayat ko sirf zahen me rakhe yani Zuban se Qirat Na kare to Sajdah Sahoo wajib nahi hota hai,agar zuban se padhe to Sajdah sahoo wajib hojata hai,
●● Za’afrani Rang ka Libas Na pahen na ..Ye Hukm Mardo keliye hai,kyu ke is rang ke libas me Mard ziyadah Munasib Nahi Nazar aata hai,aur wo rang Aankho me bhi chubhta hai,lehaza is rang ke libas ko Na pahne to ziyadah behter hoga.

Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like