DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 382,

Hazrat Jubair Bin Mutyim(raziyallahuanhu) apne walid se rivayat kiye hain,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Rishtehdari ko Todne Wala Jannat me Dakhil Nahi hota hai.
(Vol/2,Hadees No :2033),
Dars : Rishtah Allah ki Banayi huvi Qarabat hoti hai,jisko Allah apni Khaas Rahmat se takhleeq farmata hai,ab usko Nibhana Bandeh ka Kaam hota hai,
■■ Rishteh ke Mazboot Rahne ki Asal Bunyad Ek Doosre per Yaqeen wa Etemad hai,agar Jis Rishteh me ek doosre per Yaqeen Na ho wo Rishtah ziyadah Din qayim Nahi rah sakta hai,
Aur rishteh ko kamzoor karne wali cheez *KHUD GHARZI* hai,Rishtah Nibhane me Khudgharzi ko aane Nahi dena chahiye,
Jo Sabar aur Shukar ko thaam kar chalte hain,Unke rishteh bhi kabhi Nahi toot te hain,
●● Khusoosan Walidain Rishto ki Ahmiyyat wa Azmat awlaad ko batana chahiye,aur Amali taur per Bacho ko apne akhlaaq se dikhana bhi chahiye to tab hi Bache bhi Milansaar banenge warna Bohat Mushkil hoga,Rishtah Nibhana..
Allah hame Rishteh ki Ahmiyyat samajhne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like