DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 383,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hazrat Aqra Bin Habis(raziyallahuanhu) ne

Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ko Hamrat Hussain(raziyallahuanhu) ko Bosa(kiss) karte huve dekha to wahi majlis me Hazrat Ibne Umer(raziyallahuanhu) bhi the to unhone kaha mere 10 Bache hain,lekin aaj tak maine kisi ko Bosa Nahi diya to ye sunkar ne Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) farmaya : Jo Raham Nahi karta us per Raham bhi Nahi kiya Jata hai.
(Vol/2,Hadees No :2035),
Dars :Baaz Log Awlaad ko Darakar rakhne aur unko door rakhne me hi Badayi samajhte hai,aysa Nahi hai Balke Awlaad se mohabbat aur unki Baato aur Kaamo me shamil hokar unke maslo ko hal karna Deen e islam ki taleemat me se hai,aur isi se unko Apna Pan Mahsoos hota hai,
●● Awlaad se Ghalatiya hoti hai,to un per raham karke Maaf kardene se Maa ,Baap ka maqam aur bhi Badh jata hai,aur Awlaad us Amal se walidain se Qareeb hojate hai,
■■ Awlaad per shadaqqat ka ek doosra pahlu ye bhi hai,ke Awlaad ke Khaas maslo ko jaan ne ki koshish kare agar malum Na hosake to unse sawal karke Hal karna bhi Awlaad per raham karne ke barabar hai,aur khaas kar is zamaneh me Awlaad ki taleem aur unke Nikah ke maslo ko hal karna hai,Ladkiya gharo me jawan hokar baithi huvi hai,aur Baaz walidain Achi Salary aur ache Makan wale ladke ke intezar me hai…..!!!
Ye bhi sahi nahi hai,ye awlad per ziyadati hogi…
Allah hame apni awlaad se mohabbat wa shadaqqat karne wala banaye..Ameen
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like