DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 401,Hadees No :2055,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Bandah Doosro ke Aybo(Khamiyo) per Pardah dalta hai,to Allah Uske Dunya wa Aakhirat me Uske Aybo per Pardah dalta hai,Allah us Bandeh ki Madad me hota hai,jo Bandah Apne Bhai ki Madad me hota ho.
(Vol/2,Hadees No :2055),
Dars : Aybo per Pardah ke 2 Meaning hai,
1,kisi ke Ayb Malum ho to usko Doosro ke saamne Nahi bayan karna chahiye,
2, Doosro ke Ayb ya Khami wa Ghalati malum ho to usko Maaf kardena chahiye,
Lehaza jo aysa karega to Allah Azza wa Jalla uske Aybo Dunya wa Aakhirat me Chupa dega aur usko Bakhsh bhi dega..insha Allah..
■■ Haan,Agar kisi ki islah karna ho to usko Tanhayi me Aybo ko bata de Munasib hoga,warna doosro ke saamne islah ki Niyyat se bhi kahne se Sharmindagi mahsoos karega aur us se uske Dil ko takleef hogi,jo ke sahi Nahi hai,
Allah hame Doosre ke Aybo per pardah karne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like