DARSE JAMIUT TIRMIZI CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 402,Hadees No :2055,

 

Hazrat Abu Hurairah
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Kisi Ghareeb Per Dunya me Aasani karega to Allah Qiyamat me us per Aasani farmayega.
(Vol/2,Hadees No :2055),
Dars :Ghareeb per Aasani ki kaye Tareeqeh hote hai,jo Halaat ke Lehaz se Wazeh hote hain,
●● Ghareeb ki Ladki ki Shadi me Madad hi Nahi balke unke Bacho ki Sahi wa Aala taleem hasil karne me Madad wa kafalat lena bhi Ghareeb per Aasani karna hai,
Aur Ghareebo ki ladkiyo ki Shadiyo me Maali Madad se Ziyadah apne Awlaad ke Nikah ko Saadha(Normal) Yani Sunnat ke Muwafaq Befuzool kharcho ke Baghair Nikah ka Rivaj Aam karde to Ye bhi ek hi Nahi Balke Saare Ghareeb Ladkiyo ke Madad hojayegi..insha Allah,
●● Ghar ki Malkeen,Dukan ka Malik etc..ye apne Khadimo se Narmi se Kaam le to ye bhi un per Aasani hogi,Jiska Badlah Allah Akhirat ke Moamlaat me Aasani ki Shakal me dega.
Allah hame Tangdast per Aasani karne wala banaye..Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like