DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 438,Hadees No :2105,

Hazrat Abdullah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tana dene wala,Lanat Bhejne wala,Buri Baat aur Bura Kaam karne Wala Momin Nahi hosakta hai.
(Vol/2,H,No :2105),
Dars :Jo Bandah Logo ko Tana deta ho,Lanat bhejta ho,aur Buri Baat wa Bure kaam karta ho to Wo Kamil Momin Nahi hota hai,to Jo Bandah in Baato ko Chod dega to Usme Eiman ka Kamal wa Jamal dono paida hojayenge..insha Allah.
●● Tana dena :Doosro ki Har Baat wa Kaam me kuch Na kuch Khami Talash karke Unko apne Na Munasib Baato se takleef de to wo tana Dena kahlata hai,ye Bohat hi Bura Amal hai,is se Doosre Momin bhai/Bahen ka Dil toot jata hai,jis se Allah Tana dene wale se Naraz hojata hai..
■■ Baat baat pe Doosro ko Lanat Bhejna Buzdili aur Be Sabri ki Alamat hoti hai,is se jo Bachega to usko Sabr wa Hikmat Dono Ata kiye jate hain,
☆☆ Buri Baat se Dil wa Chahreh ka Noor aur Bure Kaam se Saare hi Badan ka Noor khatam hojata hai,aur Allah ki Narazgi ke Saath Uska Naam Bad Bakhto me se likha jata hai..
Lekin Jab Tak Zindagi Baaqi hai,Taubah ka Darwazah khula hai,taubah karke in Baato se Bachna zaroori hai.
Allah hame Nek Taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like