DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : PEENE KE AHKAM, DAY : 367,

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam)

ne Paani me Phoonk Marne se Mana farmaya,to Ek Shaks ne Sawal kiya ke Agar Paani me Kachra gir jaye to kiya kare ? To Aapne Farmaya :Thoda paani Baha do,Kachra Nikal jayega,
Phir aur Ek Shaks ne Sawal kiya ke :Agar kisi ko Ek hi Saans me Paani peene ki Adat ho to wo kiya kare ?
To aapne farmaya : Paani ke Glass ko apne Mooh(Mouth) se Hata do to Ek Saans me Paani peene ki Adat choot jayegi.
(Vol/2,H,No :2008),
Dars :Paani me Phoonkne se Isliye Mana kiya gaya hai,ke Agar koi shaks paani me phoonkta hai,to Insaan ke Mooh ke Bacteria,etc…Paani me Dakhil hojate hai,aur us se khud Insaan ko hi Niqsan hota hai,to us Noqsan se bachne keliye Mana kiya gaya hai,
■■ Adat Chudana ?!
Har koi Yeh kahta hai,ke Adat padh gayi hai,kiya kare ? Choot ti Nahi hai ?!
To Adat ko chudane ke Bare me
Tabeeb e Alam wa Shafee e Mohtasham
(sallallahualihiwasallam) ne Aasan Noskhah bayan farmaya : ke Jab ek shaks ne Ek hi saans me Paani peene ki Adat batayi to aapne farmaya :ke Glass ko Mooh se hata lo to khud ba khud adat choot jayegi ..! Is me is Baat ki taraf isharah hai,ke
“INSAAN APNI BURI ADAATO KE ASBAAB KO PAHLE KHATAM KARDE TO WO BURI ADAT KHUD BA KHUD CHOOT HI JATI HAI”
Agar koi Asbaab ko Baaqi rakhe aur Buri Adat Chodne ki koshish kare to Is Maqsad me Bohat kam hi log kamiyab hote hai,lekin Aksar log Na Kaam hote hai,
Allah hame Buri Aadato se Mahfooz farmaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like