DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : QURBANI, DAY : 295,

Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram (sallallahualihwasallam) ne farmaya : Qurbani ke Din (Eid ul Azha) Allah ke paas *QURBANI*se badh kar koi Cheez Pasandeedah Nahi hoti hai,Aur Qiyamat ke Din Gawahi dene keliye Qurbani kiya huva Janwar Apne Seenghe, Baalo(Hairs) aur Khuro ke saath Hazir hoga,

Aur Us Janwar ka Khoon(Blood) zameen per Girne se pahle hi usko(Maghfirat ki) Khushkhabri dene ka Elan hota hai.
(Vol/1,H,No :1572),
Dars :Qurbani ki Bunyad “SACCHI NIYYAT AUR IKHLAS” per hoti hai,Jo Jab se jo Niyyat karega Usko usi waqt se Qurbani dene ka Sawab milta rahega,Jabke Niyyat Sacchi wa Pokhti ho,
■■ Deen e Islam Bandeh ko Qurbani ki Taleem deta hai,Ab ye Qurbani jab Janwar ki ho to ye Maal ki qurbani hai,aur jab Kisi Deeni wa Samaji Kaamo me Waqt lagaye to ye Waqt ki Qurbani hoti hai,yani Har Maidan me aur Har mauqeh per Islam ne Qurbani ki taleem di hai,Baghair Qurbani ke koi cheez Is dunya me Hasil hone wali Nahi hai,
●● Jab Dunya ki Mamooli se*DAWLAT* hi, Waqt aur Taqat ki Qurbani diye Baghair Hasil Nahi hosakti to phir Baghair Qurbani ke
*ALLAH KI QURBAT* kaise hasil hosakti hai..!!
Allah hame Sahib e Qurban bana de..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like