*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** Chapter :SALAH, Day :55,

 

Hazrat Abu Qatadah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,Sahaba(raziyallahuanhum) ne ,NABI E AKRAM(sallallahualihiwasallam) Unki us Neend ke bare me sawal kiye jis se unki Namaz choot gayi thi ?
To aapne Farmaya :NEEND Ko Ziyadati nahi kahenge balke Ziyadati(Susti) to Bedari ki Halat me hoti hai,Lehaza jab tum me se koi Namaz Padhna(Kaam ki masroorfiyaat ki wajah se) Bhool jaye ya Sojaye to Jab Yaad aajaye to us Waqt Namaz padhlo.
(VOL/1,H,No :177),

DARS : Dosto ,
Bhoolne ka matlab ye hai,ke ,zahen me to tha Namaz padhna lekin kuch der waqfeh ke intezar me tha ke waqt khatam hogaya to tab use yaad ajaye Namaz padh lena hai,
Ab rahi Neend to wo ek fitri cheez hai,Waqt se ziyadah sojaye to tab Bedar hojaye aur yaad aye to Namaz padhna hai,waqt hoto Ada warna Qaza…
Neend ka matlab ye nahi hai,ke 30 min ke baad Namaz padhna hai,ab sorahe hai,ye sahi nahi hai..
Allah hame Namaz se ghaflat karne se bachaye..Ameen..

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like