*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER :SALAH, DAY :79,

 

Sayiidatuna AYISHA SIDDIQUAH(raziyallahuanha) se rivayat hai,farmati hai,ke.
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Jab Namaz ka Salam pherte(Yani Namaz mukammal hojati) to Aap :
“ALLAHUMMA ANTAS SALAM WA MINKAS SALAM TABARAKTA ZAL JALALI WAL IKRAM”
Ke Alfaz se Dua karte.
(Vol/1,H,No:299),
Dars :Dosto,Ek Doosri Rivayat me Aya hai,ke..
*DUA IBADAT KA MAGHZ HAI*
Aur Kayi Ahadees e Shareefah maujood hai,jo is baat pe Dalalat karti hain,ke..
NAMAZ KE BAAD DUA KARNA”SUNNAT” hai,
Dosto,Dua hi to hai,jis se Bandeh ki Banadagi Zahir hoti hai,Isi me to Kamal e Aajizi Zahir hoti hai,ab isi se hum bhage aur Namaz ke baad Allah se dua na kare to ye To Deen Se Doori aur Aajizi se Mooh pherna Lazim aata hai.
Allah sabko Nek Taufeeq ata farmaye..Ameen.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like