DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : TIBB, DAY : 506,Hadees No :2216,

 

Hazrat Rafe Bin Khadeej (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha ,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Bukhar(fever) Aag ka ek Hissah hai,lehaza Usko Paani(water) se Thanda(cool) karo.
(Vol/2,Hadees No :2216),
Dars : Qurban Jaye Aaqa e Do Jahan Sallallahualihiwasallam ki is Tibbi Baseerat per ke Aapne to Kayi Saal pahle hi Bukhar ki Haqeeqat aur uske Ilaj ke bare me Batla diya jiske Baare me Science Aaj kuch Reaserch karke Saari Dunya pe Kamiyabi ka Nara lagati hai,jo ke Haqeeqat me wo Bhi Aaqa ke Dar se Mili huvi Tibbi Faizan ka ek Hissah hi hai,
●□ Bukhar : Aag ka Ek Hissah ka Matlab Aag me jaisi Garmi ki Shiddat payi jati hai,usi tarah Bukhar se bhi Insaan ke BADAN ME GARMI KI SHIDDAT ziyadah hojati hai,lehaza Peshani per Geela Kapda(Wet Cloth) rak kar Uski Shiddat ko kam kiya ja sakta hai,jiski Naseehat Doctors bhi karte hai,iske Alawah Medicines bhi istemal kare to uski ijazat hai,
Allah sabko Sehat se Nawaze..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like