DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY :884,HADEES NO:2832

Hazrat Sayyiduna Abbas Bin Abdul Muttalib(Raziallahuanhu) se Rivayat hai, kaha, Rasool e Akram ﷺ ne Farmaya: JO Shaks Allah ko Rabb, Islam ko Deen aur Mohammed sallallahualihiwasallam ko Nabi hone per Raazi rahe to Wo Eiman Ka Mazah Chakega.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2832),

Dars : Har Cheez ka is Dunya me Mazah hota hai,jo usko us cheez ya Phil etc.. milti hai,to Jis ke Chakne se usko ek Khushi wa Rahat milti hai,isi tarah Eiman ka Mazah wa Chashni hoti hai,Jo Allah ke Kamil Bandeh Har Haal me Allah ko Rabb,Islam ko Deen aur  Mohammed sallallahualihiwasallam ko Nabi Maante hai,Aur Har Mushkil wa Gham me shikwah Nahi karte ,Sabr ko Thaam lete hain,to ayse Bando ko Allah Eiman Ka Mazah Naseeb karta hai,to wo Eiman ka mazah is tarah chaste hain,ke phir unhe is dunya me kisi cheez me lazzat Nazar aati hai,aur wo Deen,aur Allah wale hojate hai,

◇ In 3 Baato ki taraf isharah is liye kiya gaya hai,ke deen e islam ki Bunyad me yahi 3 Cheeze Asal hain,aur Sab ka Daro Madar inhi 3 cheezo per hai.

Allah Hame In 3 Arkaan ko thaame rakhne wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

 

You might also like