DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 555,Hadees No :2356,

 

Hazrat Umme Salamah (raziyallahuanha),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) Neend se Bedar hokar farmaye : Aaj Raat Kayi Azmayishe Nazil huvi hain,aur Kayi Khazane bhi Nazil huve hai,to Koi Sone(Sleeping) Walo ko Bedar karde aur kahe ke :Kitne Hi Log Jo Dunya me Maal Dar hote hai,lekin Wo Akhirat me Khali Haath hote hain.
(Vol/2,Hadees No :2356),
Dars : Dunya ki Azmayishe aur Akhirat ke Khazane ye Do Cheeze Dunya ke Aamal ke Nateejeh me Naseeb hote hain,jo Nek Aamal karega to Usko Akhirat ke Khazano se Nawaza jata hai,aur jo Bure Aamal me pad jayenge to Unko Dunya wa Akhirat Dono ki Azamayisho me Mubtala kiya jata hai,lehaza intekhab karna Bandeh ke Haath me hai,
■■ Dunya me Maal Dar Kayi log hote hai,lekin Haqeeqi Maal Dar wahi hoga Jo 2 Jahano me Maal Dar ho wo Wahi hoga Jo Apna Maal Dunya me Deen ke Kaamo aur Ghareebo ki Madad me lagata hai,to Wo Maal uske Liye Akhirat me bhi Nekiyo ki Shakal me Mahfooz hokar usko Akhirat me bhi Maalamal karta hai,ab jo Apne Maal ko Sirf Dunya per hi kharch karde to ye Akhirat me Kore(khali) wa Muflis honge aur Zaleel bhi…!!
Allah hame Apna 2 Jahan me Maaldar banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like