DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 558,Hadees No :2361,

 

Hazrat Maqil Bin Yasaar (raziyallahuanha),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qatl wa Gbarat ke Zamneh me bhi ibadat karna Meri Taraf Hijrat karne ke Bara Bar hai.
(Vol/2,Hadees No :2361),
Dars : Yani Jo Qiyamat ke Qareeb Qatl wa Gharat ka mahol hoga aur sab Pareshan honge to us Zamaneh me bhi apni Saari Museebato ko Chod kar jo Bandah Allah ki ibadat karega to Allah us Bandeh ko Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ki taraf hijrat karne ka Sawab ata kiya jayega,lehaza Har Haal me Allah ki ibadat Nahi chodni hai,ab jo Bandeh kisi Choti se wajah per Namaz chod de to uska Adna Azab ye hai,ke usko 500 Saal Jahannam me jalaya jayega..!! To jo Bndeh Jaan Boojh kar aur Taharat Na rahne ka Bahana bana kar(jabke kuch hi der me Paak hosakte hain) Namaz aur Doosri ibadate chod dete ho unke Azab ka Andazah bhi Nahi lagaya ja sakta hai,kyu ke unka utna hi dardnaak Azab diya jayega,
Allah hame Har Haal me teri Bandagi Naseeb farma..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like