DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 562,Hadees No :2366,

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanha),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jab Qiyamat Qareeb hogi to Har Aane Wala Saal(year) Pahle Wale Saal(Past) se Bura hoga.
(Vol/2,Hadees No :2366),
Dars : Qiyamat ke Qareeb Dunya me Bohat Burayi hogi aur Jaise jaise Din Guzarte jayenge Us Tarah Dunya me Burayi Aam hote jayegi aur log Burayi ko Bura Nahi samjhenge Balke Achayi unke Aankho me Buri Nazar aane lagegi,
■■ ACHE DIN.. ? Dunya me Ache Din kisi Leader ki wajah se Nahi aate hai,Balke Ache Din Insaan ke Ache Akhlaaq se aate hain,Ek Musalman keliye to Acha Din usi waqt hai,Jabke wo Subah Uth kar Fajar Ki Namaz ada kare to is lehaz se Musalman keliye to Har Din Acha hai,jitni Bandagi utni hi Khush Haal Zindagi warna Sharmindagi..!!
Ab kisi Leader se Ache Din Aane ki Umeede chod dijiye Balke Akhirat ki Tayyari Shuru kariye kyu ke Har Aane Wale din me Pahle wale din se ziyadah fasad hoga,koi Ache Din Nahi ayenge,Umeed Allah se Khair ki kare to Insha Allah sab khair hi hoga.
Allah hame Har Sharr se Mahfooz kare..Ameen
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like