DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 598,Hadees No :2435,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Tumhara Ameer(Badsha ya Wazeer) Tum me se Behtreen Shaks ho aur Tumhare Maal Dar log Sakhi(Maal se Apno aur Ghareebo ki Madad karne wale ho) aur Tumhara Moamlah Apasi Mashoreh se ho to Zameen ki Peet(Back) tumhare liye Uske Peth(Stomuch) se ziyadah Behter hai,aur Agar Tumhara Ameer Bad Tareen Shaks ho aur Maal Dar Log Bakheel ho,aur Tumhara Moamlah Tumhari Aurato(Ladies) ke Supurd(HandOver) ho to Zameen ka Peth Tumhare Liye Uski Peet se Behter hai.
(Vol/2,Hadees No :2435),
Dars : Zameen me Jab uski Waqt Insaaf rahega Jab Tak ke Badsha ya Wazeer Amanat Daar aur Behter shaks ho,aur Logo ke Moamlaat usi waqt Sudhrenge Jab tak ke Maal daar log Apne Maal se Khair,Sadqah aur Nek Niyyat se falahi kaam kare aur Moamlaat ke Pukhtagi wa Mazbooti usi waqt hogi jab tak ke saare Moamlaat Apas me ek doosre ke Mashoreh se ho,agar aysa Na ho uske Khilaf ho to Zindagi se Behter Maut hai,kyu ke Agar maut Na bhi aye to Chalti Phirti Laash Ban jana hoga,koi Kaam aur Baat me Asar hi Na hoga,aur Na hi zindagi ka koi Mazah aur Maqsad…!!
●● Ameer,Aur Wazeer ke Dil me Maut ka Darr ho Aur Maal Daar ko Ghurbat ka Ahsaas ho aur Ek Muntazim ko Mard ki Sonch wa Fikar ki se Waqifiyyat ho Zameen bhi koi Jannat se kam Nahi hogi,
Allah Badsha ko insaaf,Maal Daar ko Sadqah,Atayaat aur Zakat dene aur Apasi Mashoreh se kaam ki taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like