DARSE JAMIUT TIRMIZI**CHAPTER : ILM-DAYS: 907/ HADEES NO :2861

Hazrat Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha, Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Jis Shaks se kisi ILM ki Baat poochi jaye jabke wo Usko Jaanta tha bhir bhi wo uska Jawab Na de to Kal Qiyamat ke Din usko Jahannam ke Lagam lagayi jayegi.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2061),

Dars : Hadees e Paak me 2 Qisam ke logo ke Baare me isharah hai,Ek wo log Jo ILM jaante hain,aur ek wo log Jo ILM Ziyadah Nahi jaante to Sawal karne wale ko bhi Chahiye ke wo Jaan me walo se sawal kare jaisa ke Quran me is ka hukm aya hai,to jab koi Jaan ne wale ko sawal kare phir bhi wo uska jawab Na de to ayse logo ka jahannam ki laga lagayi jayegi,aur Jo Ziyadah Jaante hi Nahi to ayse logo S ilmi wa fiqah ke sawalaat Na kare to hi Behter hai,warna ye dono sawal karne wala aur baghir ILM ke jawab dene wala dono Gunahgaar honge,

●● Ek Ahem baatbye bhi ke Aaj kal Har Aam Aadmi Shareeat ke Ahkamaat ko Bayan karna chah raha hai,Jo ke bilkul Munasib Nahi hai,Sharee Masaael ka Hal karna Muftiyo ka kaam hai,lehaza us kaam ko un per hi chod de to behter hoga,

■■ Hame Chahiye ke sharee ki maslo me Na uljhe aur Na hi us per Bahes wa Mubahasa kare balke Muftiyo se pooch kar uska Hal karle to Sab keliye khair hoga.

Allah hame Na Maloom ILM ko Marifat rakhne walo se seekhne wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

 

You might also like