DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHAAB(DREAM), DAY : 604,Hadees No :2446,

 

Hazrat Abu Qatadah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ache Khaab Allah ki Taraf se hote hain,aur Bure Khaab Shaitan ki Taraf se,to Jab bhi Bura Khaab aye to Apne Baye Janin(Left Side) Teen Baar(Three Time) thook de,aur Awuzu Billahi Minash Shaitanir Rajeem padhle to Khaab me ayi huvi Burai se Mahfooz hojayenge.
(Vol/2,Hadees No :2446),
Dars : Din Bhar Agar Allah ke Zikr wo Azkaar aur Allah ke Deen ki khidmat ya uske Hukm per Chalenge to Zaroor Allah Future me hone wali Baato ko Bandeh ke Khaab se Bata denge,unhi me se ek Qism Namaz e Istekharah bhi hai,jo Bandeh ko Kaam ki Achai aur Kharabi ke bare me khaab me bataya jata hai,ya isharah bhi kiya jata hai,to ab ye Bandeh ki Zindagi ke jeene ke tariqeh per hai,
Agar Bandah Allah ko chod kar doosre raasteh per chalega to Lazmi baat hai,ke Shaitan hi usko khaab me akar pareshan kardega to Bando ko Chahiye ke Shaitan ka itna bura Asar dunya me hi ho to bhi Akhirat ke Asar ka Aalam kiya hoga..!!!
●● Baye Janib Thook de ya Phoonk bhi maar de to kaafi hai,phir Awuzubillah ke Saath “La Hawla Wala Quvvata illa Billahil Aliyyil Azeem” bhi padhle to Behter hai,jo Ulama e kiram ne bataya hai.
Allah hame Bure khaabo se mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like