DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHAAB(DREAM), DAY : 607,Hadees No :2452,

 

Hazrat ibne Abbas (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Apne Khaab me Jhoota ho to usko Qiyamat me 2 Baalo(2 Hairs) me Girah(Gheeti) lagane ki Saza di jayegi to wo Unme kabhi Girah Nahi laga sakega.
(Vol/2,Hadees No :2452),
Dars : Jo Be dari me Sach Bolne wala hoga to Wo Neend me bhi Sach hi bolega aur Sache Khaab hi dekhega,aur Jo Shaks Be Dari Jhoota aur Makkar ho to wo Neend me bhi Jhoota hoga aur Makkari wale Khaab hi dekhega,
Ye Baat bhi Yaad rakhe ke ,Neend ko Maut ke Bahen bhi kaha gaya hai,to Jab Bandah Neend me Jhoota ho to Wo Maut ke Baad Khabar me Sacha Kise hosakega…??!!
Aur Wo Sachai ke saath Qabr me Kiye jane wale Sawalo ka Jawab kise dega..??!!
Allah hame Har Haal me Sach Bolne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi…
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like