DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : LIBAS , DAY : 307,

Hazrat Abdullah Ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne farmaya :Jo Dunya me Apna libas Takabbar ki wajah se Ghaseet kar chalta hai,to Qiyamat ke din Allah uski Taraf apni Nazre Rahmat Nahi farmata hai.
(Vol/2,H,No :1834),
Dars : Jab bandah koi Umdah Libas pahne to uske dil me *SHUKR* paida hona Chahiye Na ke us se *FAKHR* paida ho,jab Bandah Umdah libas pahen kar Shukr karta hai,to Allah uske Badani aur Batini Aybo ko Chupa deta hai,aur uske Dil me Nange(Barhanah) Ghareebo ki Madad ki tadap dil paida hojati hai,aur isko dunya me Izzat Naseeb hogi,
Agar wo Umdah Libas ki wajah se Fakhr kare to Wo Kuch din baad Khud apni aur usi waqt Doosro ki Nigaho me Zaleel hojayega,jis se isko dunya me Zillat Naseeb hogi,
■■ Hadees ke mafhoom me ye bhi hai,ke : Libas ko Zaroorat se ziyadah Lamba Nahi silvana chahiye,jis se Takabbur aur israaf dono Janam lete hain,
●● Ye Hukm Mard aur Aurat dono keliye hai,Haan,Kuch Lamba karne se Pardah hasil hota ho aur uske Alawah koi doosra raastah Na ho to Ab Khawateen ko kuch lamba karne ki ijazat hai,Warna Doosre kapdo se pardah karna hoga,Jaise Aaj kal ke Burqeh aur Hijab,etc..etc..hai,aur Ladko ke Baaz Kapde bhi…
Allah hame Shukr paida karne wala Libas Naseeb kare…Ameen..

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site….anwaarulislam,com.

You might also like